Mujhe Raat Din...

Get this widget | Track details | eSnips Social DNA





Sangharsh - Mujhe Raat Din..., Lyrics of Sameer and music by Jatin Lalit and sung by Sonu nigam...

Mm hmm hmm hmm, eh hey, la la la
Mujhe raat din, bas mujhe chaahti ho - 2
Kaho na kaho mujhko sab kuch pataa hai
Haan, karoon kya mujhe tum bataati nahin ho
Chhupaati ho mujhse yeh tumhaari khataa hai
Aa mujhe raat din, bas mujhe chaahti ho

Meri beqaraari ko had se badhaana
Tumhe khoob aata hai baatein banaana
Nigaahein milaake yun mera chain lena
Sataake mohabbat mein yun dard dena
Mujhe dekhke aise palkein jhukaana
Sharaarat nahin hai to phir aur kya hai
Aa mujhe raat din, bas mujhe chaahti ho

Tumhe neend aayegi ab na mere bin
Mujhe hai yakeen aisa aayega ek din
Khuli teri zulfon mein soya rahoonga
Tere hi khayaalon mein khoya rahoonga
Kabhi gaur se meri aankhon mein dekho
Meri jaan tumhaara hi chehraa chhupaa hai
Aa mujhe raat din, bas mujhe chaahti ho
Kaho na kaho mujhko sab kuch pataa hai
Haan, karoon kya mujhe tum bataati nahin ho
Chhupaati ho mujhse yeh tumhaari khataa hai
Aa mujhe raat din, bas mujhe chaahti ho


खुदी और आरजू

किनारा बड़ी दूर था, और हम निकले भी बाजुओं के दम पे थे!! या शायद किनारा था ही नहीं बस एक लहर थी जिस पर हम सवार थे!! पर कब दिल ने तम्मानाओं की कश्ती पकड़ ली, पता ही ना चला था!!

आरजू की कश्ती में कभी सवार होना तो ना चाहा था, पर पानिओं और तम्मानाओं की रवानी को कौन रोक सका है!! हमारी बाजुओं में इतना दम ना था कि उस दिल कि दरिया को रोक सकें!!

बेखुद हम, उल्फत के दरिया में बहते रहे, जब तक होश आया तब तक यह दिल दिल्लगी कर बैठा था!! ऐसा ना था कि दिल हमसे बेवफा था, पर फिस्सलना तो इसकी फितरत में है!!

खुदी का किला तम्मानाओं की एक ही चोट से ढेर हो जायेगा, कभी सोचा ना था!! हमारे वजूद को मिटा गया वोह मंज़र जो कभी हमारा अपना ना था!!
गम तो नहीं है पर, हाँ..., उफान उठता है तम्मानाओं की लहर में जब भी, उस दरिया का सीना चलानी होता है, जो खुदी की बूंदों से बना है...!!


Transliteration:
Kinara badi door tha, aur hum nikale bhi bazoon ke dum pe they!! ya shayad kinara tha hi nahin bas ek lahar jis par hum sawar they!! Par kab dil ne tamanaaon ki kashti pakad li pata na chala tha!!

arzoo ki kashti mein kabhi sawar hona to naa chaha tha, par paanion aur tamanaaon ki ravaani ko kaun rauk saka hai!! Hamari bazoon mein itna dum naa tha ki us dil ke daria ko rok sakein!!

Bekhud hum, ulfat ke daria mein bahte rahe, jab tak hosh aaya tab tak yeh dil dillagi kar baitha tha!! Aisa naa tha ki dil humse bewafa tha, par phisalanaa to iski fitraat mein hai!!

khudi ka kila taamnaaon ki ek hi chot se dher ho jayega kabhi socha naa tha!! hamare wajood ko mita gaya woh manzar jo kabhi hamara apna naa tha!!
Gum to nahin hai par, haan..., ufaan uthta hai tamanaaon ki lahar mein jab bhi, us daria ka seena chalani hota hai, jo khudi ki boondon se bana hai...!!

तासीर...

वोह राही ना था जो रास्ता भूल गया,
वोह तो मंज़र ही था जो मंजिल बन गया!!

वोह परवाना ना था जो शमा में जल गया,
वोह तो साहिल ही था जो लहर से टकरा गया!!

Transliteration:
woh parwana naa tha jo shama mein jal gaya
woh to saahil hi tha jo laher se takra gaya

woh raahi naa tha jo rasta bhool gaya
woh to manzar hi tha jo manzil ban gaya